Saturday, 11 July 2015

Toh Zinda Ho Tum

Toh Zinda Ho Tum


Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho.
Toh zinda ho tum!
Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!

Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya samaa dekhiye

Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum!

Apne Hone Par Mujhko Yaqeen Aa Gaya

Apne Hone Par Mujhko Yaqeen Aa Gaya


Pighle neelam sa behta hua ye sama
Neeli-Neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen, na kahin Aasmaan
Sarsarati hui tehniyaan, pattiyaan
Keh raheen hai ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon
Meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne hone par mujhko yaqeen aa gaya...

Wednesday, 8 July 2015

Kagaz ki Kashti ⛵👦

Woh Kagaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani


 Ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo
 Bhale chhin mujhse meri jawani
 Magar mujhko lota de bachpan ka sawan
 Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani 
 
 Muhalle ki sabse purani shaan
 Woh bhudhiya jise bache kehte the naani
 Woh naani ki bato me pariyo ka dera
 Woh chehre ki jhuriyo me sadiyo ka khera
 Bhulaye nahi bhul sakta hai koi
 Bhulaye nahi bhul sakta hai koi
 Woh chhoti si raat wo lambi kahani 
 
 Kadi dhup me mai ghar se na niklna
 Woh chidiya wo bulabul wo titliyo ka ghar
 Woh gudiya ki shadi pe ladna jhagdana
 Woh jhulo se girna wo girke sambhalna
 Woh pipal ke chhalo ke pyare se kante
 Woh tuti huyi churiyo ki nishani
 Woh kagaz ki kashti wo barish ka pani 
 
 Kabhi ret ke unche tiilon pe jana
 Gharounde banana banake mitana
 Woh masum chahat ki tasvir apani
 Woh khawabo khilono ki jagir apani
 Na duniya ka gam tha na rishton ke bandhan 
 Badi khubasurat thi woh zindgani